halat-e-haal kay sabab halat-e-haal hi gayi
halat-e-haal ke sabab halat-e-haal hi gayi
shouq meiN kuchh nahiN gaya shauq ki zindagii gaii
tera firaaq jaan-e-jaaN aish tha kya meray liye
yaani teray firaaq meiN khoob sharaab pii gaii
us ke wisaal kay liye, apne kamaal ke liye
haalat-e-dil keh thi kharab, aur kharab ki gaii
aik hi hadisa to hai aur woh yeh keh aaj tak
baat nahiN kahi gaii baat nahin sunii gaii
baad bhi teray jaan-e-jaaN dil meiN raha ajab samaaN
yaad rahi teri yahaN phir teri yaad bhii gaii
us kay badan ko dii namood hum ne sukhan meiN aur phir
us kay badan kay waastay aik qabaa bhi sii gaii
sehn-e-khayal-e-yaar meiN ki na basar shab-e-firaaq
jab say woh chandna gaya jab say woh chandni gaii
nasha-e-shauq-e-rang meiN tujh say judaai ki gaii
aik lakeer khoon ki beech meiN kheench di gaii
thi jo kabhi sar-e-sukhan meri woh khaamoshi gaii
haaye kahan sunan ki baat, haaye woh bat hi gaii
shauq ki aik umr meiN kaisay badal sakayga dil
nabz-e-junoon hi to thi sheher meiN Doobti gaii
us ki galii se uTh kay maiN aan paRa tha apnay ghar
aik galii ki baat thi aur gali gali gaii
us ki umeed-e-naaz ka hum say yeh maan tha kay aap
umr guzaar dijiye umr guzaar di gaii
daur ba daur, dil ba dil, dard ba dard, dam ba damm
teray yahaN ri´ayat-e-haal nahiN rakhi gaii
jaun junoob-e-zard kay khaak basar yeh dukh uThha
mauj-e-shmial-e-sabz-e-jaaN aai thi aur chali gaii
kya woh gumaaN nahiN raha? haan woh gumaN nahin raha
kya woh umeed bhi gaii? haan woh umeed bhi gaii
baat koi umeed ki mujh say nahiN kahi gaii
so meray khwab bhi gaye, so meri neend bhi gaii
jaaniye kya talaash thi jaun meray wujood meiN
jis ko maiN DhoonDta gaya, jo mujhay DhoonDti gaii
aik khushi ka haal hai khush-sukhanaN kay darmyaaN
izaat-e-shaaiqeen-e-gham thi jo rahi sahi gaii
jab maiN tha shehr-e-zaat ka tha mera har nafas azaab
phir maiN wahaN ka tha jahaN haalat-e-zaat bhi gaii
tum nay bohot sharaab pii is ka sabhi ko dukh hai jaun
aur jo dukh hai woh yeh hai tum ko sharaab pii gaii
jaan teray firaaq meiN shaam say shab jo ki gaii
khuub sharaab pii gaii aur kharaab pii gaii
shikwa jo hai to is ka hai shikwa nahiN kiya gaya
ranj jo hai to is ka hai baat faqat sahi gaii
sood-o-zayaaN to khair kya in ki tameez hai ajab
waisay isi tameez meiN apni to zindagi gaii
jis ka surood-e-roshni mehfil-e-shab faroz tha
us dil-e-daagh zaar say apni hi roshni gaii
Sent on the move from my BlackBerry®
uskay visaal kay liyey apnay kamal kay liyey
ReplyDeletehalat-e-dil ke thi kharab aur kharab ki gai
This comment has been removed by the author.
ReplyDeleteshukria
ReplyDeleteany possibility that that you can provide an english translation, or at least an overview...
ReplyDeletereally appreciate it!!!
thanks!
یہ سارے اشعار جون کے ہیں؟
ReplyDeleteJee bilkul
DeleteUS KI UMEED-A-NAAZ KA HUM SE YEH MAAN THA K AP
ReplyDeleteUMER GUZAAR DIJIYE,UMER GUZAAR DI GAYE