A beautiful "nazm" Darakht e Zard by Urdu's greatest poet Jaun Elia for his son Zariyon Elia ..
Darakht-e-Zard
NahiN maloom Zaryoon ab tumhari umr kia hogi
Wo kin khaaboN sey jaaney aashna , Na aashna hogi
Tumhare dil ki is duniya meiN kaisey silsiley hongey
TumheiN kaisey gumaaN hongey,TumheiN kaisey giley honge
Tumhari Subh’h janey kin khayaaloN sey nahaati ho
Tumhari Shaam jaaney kin malaaloN sey nibhati ho
Na janey kon dousheeza tumhari zindagi hogi
Na janey us ki kia bayastagi shayastagi hogi
Usey tum phone kartey aur khatt likhtey rahey hogey
Na janey tumney kitni kam ghalat URDU likhi hogi
Yeh khatt likhna tou DAQIYANOOS ki peerhee ka qissa hai
Yeh sinf-e-nasr hum na baalighoN k funn ka hissa hai
Wo hansti ho tou shayad tum na reh patey ho haaloN meiN
GaRha nannha sa paR jata ho shayad uss k gaaloN meiN
GumaN yeh hai tumhari bhi rasaai na’rasaai ho
Wo aai ho tumhare paas leikin aa na paai ho
Wo shayad maaidey ki gand biryaani na khati ho
Wo Naan-e-Bey khameer-e-Meida kam tar hi chabaati ho
Wo dousheeza bhi shayad daastaanoN ki ho dildaada
Usey maloom hoga ZAAL tha SOHRAAB ka dada
“Tuhumtan” yaani Rustam tha Garaami Saam ka waaris
Garaami Saam tha sulb-e-nareemaani ka khush zaada
(Yeh meri aik khaahish hai jo mushkil hai………)
Wo Najm Afandi-e-Marhoom ko tou jaanti hogi
Wo NauhoN k adab ka tarz tou pehchanti hogi
Usey kadd hogi shayad un sabhi sey jo lapaaRee hoN
Na hongey khaab uska jo gawaiyey aur khilaaRi hoN
Hadaf hongey tumhara kon,Tum kis k hadaf hogey
Na jaaney waqt ki peikaar meiN tum kis taraf hogey
Hai Runn yeh zindagi,Ik Runn jo barpa lamha lamha hai
HumeiN iss Runn meiN,Jo bhi ho,Kisi jaanib tou hona hai
So,hum bhi iss nafas tak hain sipaahi aik lashkar k
HazaaroN saal sey jeetey chaley aaey hain mar mar k
Shahood ik funn hai aur meri adawat bey funon sey hai
Meri peikaar azal sey sab tanasub dushmanoN sey hai
Bihaar aaqaay-e-Baabil hai DO AABA bechta kia hai
Yeh KHUSRO,MEER,GHALIB ka kharaaba bechta kia hai
Hamara GHAALIB-E-AZAM tha “CHOUR” ~~AAQAAY-E-BEIDIL~~ ka
So rizq-e-fakhr ab hum kha rahey hain ~~MEER-E-BISMIL~~ ka
Sidhaart bhi tha sharminda k DO AABEY ka baasi tha
Qasam ahsaas ki wo tou gaya sey iltemaasi tha
Tumhey maloom hai URDU jo hai PAALI sey nikli hai
Wo Goya uski hi ik pur numo daali sey nikli hai
Yeh kaRwahat ki baateiN hain,mithaas inki na pocho tum
Nam-e-Labb ko tarasti hain,so,piyaas inki na pocho tum
Yeh ik do Jur’ouN ki ik chuhl hai aur chuhl meiN kia hai
Awaam un naas sey pocho,Bhala ALCOHOL meiN kia hai
Yeh taan o tanz ki harza saraai ho nahiN sakti
K meri jaan mere dil sey rishta kho nahiN sakti
Nasha chaRHney laga hai aur chaRHna chahiye bhi tha
Abass ka narkh tou is waqt baRHna chahiye bhi tha
Ajab bey maajra,Bey taur,beyzaraana haalat hai
Wujood ik wehm hai aur wehm hi shayad haqeeqat hai
Sar-e-Guftaar kia tha? Sir tha aur guftaar hi ka tha
Gharaz jo haal tha wo nafs k bazaar hi ka tha
Hai “ZEY” BAZAAR meiN tou darmiyaaN,ZARYOON meiN Awwal
Tou yeh IBRAFANEEQI kheltey harfooN sey thay har pal *
Tou yeh ZARYOON jo hai,kia yeh AFLATOON hai koi?
K Bu sehl-e-maseehi ki yeh ik maajoon hai koi
AmaaN ZARYOON tou ZARYOON hai majoon kyuN hota
Hain maajooneiN mufeed “ARWAAH” ko maajoon yuN hota **
Suno! Tafreeq kaisey ho bhala ashkaas o ashiya meiN
Bohat janjaal haiN par ho yahaN tou “YA” meiN aur “YA” meiN
Tumhari jo hamasa hai bhala uska tou kia kehna
Hai shayad mujhko saari umr uss k sehr meiN rehna
Magar mere ghareeb ajdaad ney bhi kuch kiya hoga
Bohat Tuchcha sahi unka bhi koi maajra hoga
Yeh hum jo haiN,hamari bhi tou hogi koi noutankee
Hamara khoon bhi sach much ka sehney par baha hoga
Hai aakhir zindagi khoon az bun-e-naakhun bar aawar tar
Qayamat saaneha matlab qayamat faajea parwar
Nahi ho tum mere mera farad nahi mera
So maine sahat-e-deeroz main dala hai ab daira
Mere deeroz main zehr-e-hilahal taigh-e-qatil hai
Mere ghar ka wohi sir nam tar hai job hi bismil hai
Guzisht-e-waqt sey peiman hai apna ajab sa kuch
So ik mamool hai imran k ghar ka ajab sa kuch***
HASAN naami hamare ghar meiN ik Suqraat guzra hai ****
Wo apni nafee sey asbaat tak ma’shar k pohancha hai
K khoon-e-RayegaaN k amr meiN paRna nahiN humko
K bas yuN hi laRaai k liye laRna nahiN humko
Wo sood-e-haal sey yaksar ziyaaN karaana guzra hai
Wo bey Yaawar raha hai aur bey yaraana guzra hai
Talab thee KHOON ki QEY ki usey aur bey nihayat thee
So,foran Bint-e-Ash’as ka pilaya pee gaya hoga *****
Wo ik lamhey k andar sarmadeeyat ji gaya hoga
Tumhari arjumand ammi ko meiN bhoola bohat din meiN
MaiN un k rang ki taskeen sey nimta bohat din meiN
Wohi tou hain,JinhoN ney mujhko peiham Rang thukwaya
Wo kis ragg ka lahu hai jo miaN meiN ney nahiN thooka
Lahu aur thookna uska,Hai karobaar bhi mera
Yehi hai saakh bhi meri yehi meiyaar bhi mera
MaiN wo hon jisney apney khoon sey mosam khilaaye hain
Najaney waqt k kitney hi aalam aazmaaye hain
MaiN ik tareekh hoon aur meri janey kitni fasleiN hain
Meri kitni hi far’eiN hain,Meri kitni hi AsleiN hain
Hawadis majra hi hum rahain hain ik zamanay say
Shadayad saneha hi hum rahay hain ik zamanay say
Hamaray ghair aur hum janay kab se bain dayim hain
Hamesha se bapa ik jang hai, hum us main qayim hain
Hamari jang khair o shar k bistar ki hai zaeeda
Ye charqh-e-jabr ke dawwar-e-mumkin ki hai girweeda
Larai ke liye maidan aur lashkar nahi lazim
Sanan o gurz o shamsheer o tabar, khanjar nahi lazim
BAS IK EHSAAS LAZIM HAI, k hum bo’deen hain dono
K nafi-e-ain-e-ain o sir ba sir ziddain hain dono
Luis Urbina ne meri ajab kuch gham gusari ki
Basad dil danishi guzran apni mujh pe tari ki
Buhut is ne pilai aur peenay hi na di mujh ko
Palak tak is ne marne ke liye jeenay na di mujh ko
“main tere ishq main ranjeeda haon, han ab bhi kuch kuch haon
Mujhe teri khayanat ne ghazab majrooh kar dala
Magar taish-e-shadeedana k baad akhir zamanay main
Raza ki jawedana jabr ki naubat bhi aa pohanchi”
Mohabbat aik paspaai hai Pur ahwaal haalat ki
Mohabbat apni yak tauri meiN dushman hai mohabbat ki
Sukhan Maal-e-mohabbat ki dukaan araai karta hai
Sukhan sou(100) tarha sey ik ramz ki ruswaai karta hai
Sukhan bakwaas hai bakwaas jo thera hai funn mera
Wo hai tabeer ka aflaas jo thera hai funn mera
Sukhan yaani laboN ka funn,Sukhanwar yani ik pur funn
Sukhanwar EEZAD acha tha k AADAM ya phir Ahremann
Sukhan yani laboN ka funn magar EEZAD k labb yaani
Mazeed AaN k sukhan meiN waqt hai,Waqt ab sey ab Yaani
Kuch aesa hai,Yeh main jo hon, Yeh main apney siwa hon “MaiN”
So,apney aap meiN shayad nahiN waqey hua hon main
Jo honey meiN ho,Wo har lamha apna ghair hota hai
K honey ko tou honey sey ajab kuch bair hota hai
Yun hi, bas yun hi zaino ne yakayak khud khushi kar li
Ajab his-e-zarafat ke thay malik yeh rawaqi bhi
Bideh yara, aza’n badeh, k dehqa’n parwirad aa’n ra
Ba sozd har mata-e-intema-e-doodmana’n ra
Ba sozd ee’n zameen-e-aitebar o aasmana’n ra
Ba sozd jan o dil raham biyasad dil o ja’n ra
Dil o jan aur aasaish, yeh ik kofi tamaskhar****** hai !
Humq ki abqariyat hai, safahat ka tafakur hai
Humq ki abqariyat aur safahat ke tafakur ne
Hamain tazee’e-e-mohlat ke liye ikwan bakhshe hain
Aur aflatoon-e-aqdas nay hamain a’ayan bakhshe hain
Suno zaryoon tum tou ain-e-aeyaan-e-haqeeqat ho
Nazar sey duur manzar ka sar o samaan-e-sarwat ho
Hamari umr ka qissa hisaab andoz-e-aani hai
Zamaani zad mein zan ki ik gumaan-e-laa zamani hai
Fana har aan baqi hai,Baqa har aan faani hai
Kahani kehney wala ik kahaani ki kahaani hai
Kahani sunney waley jo bhi hain wo khud kahani hain
YaqeeN shayad kaheeN thehrey gumaaN jitney hain faani hain
Piya pey yeh guzarish,yeh gumaN aur yeh giley kaise
Sila sozi tou mera funn hai,Phir iss k siley kaise
Tou main kia keh raha tha Yani kia kuch seh raha tha maiN
AmaaN,han,meiz par ya meiz par sey beh raha tha maiN
Ruko,MaiN bey sar o paa apney sar sey bhaag nikla hon
Mera “MaiN” laag meiN tha,Is sey main bey laag nikla hon
ILA YA AYYUHAL ABJAD ! zara yani,zara thero
There is an absurd I in absurdity SHAAYAD
KaheeN apney siwa,yani kaheeN apney siwa thero
Tum is absurdity meiN ik radeef,ik qafiya thero
Radeef o qafiya kia haiN,Shikast-e-Narawa kia hai
“Shikast-e-naarwa” ney mujhko paara para kar dala
Ana ko meri bey andaza tar beychara kar dala
MaiN apney aap meiN haara hon aur khaarana hara hon
Jigar chaakaana hara hon,dil afgaarana hara hoon
Jisey funn kehte aaey hain wo hai khoon-e-jigar apna
Magar khoon-e-jigar kia hai wo hai qattaal tar apna
Koi khoon-e-jigar ka funn zara taabeer meiN laaye
Magar main tou kahoN wo pehle mere saamney aaey
“Wojood o Sheir” yeh dono define ho nahiN saktey
Kabhi mafhoom meiN hargiz yeh kaayin ho nahiN saktey
Hisaab-e-harf meiN aata raha hai bas hasab inka
NahiN maaloom EEZAD EEZDAAN ko bhi nasab inka
Hai EEZAD EEZDAAN ik ramz jo bey ramz-e-nisbat hai
MiaN ik haal hai,ik haal jo bey haal-e-haalat hai
Na jaaney jabr hai haalat k haalat jabr hai,yaani
Kisi bhi baat k maa’ni jo hain un k hain kia maa’ni
Wujood ik jabr hai mera,adamm auqaat hai meri
Jo mei zaat hargiz bhi nahiN,wo zaat hai meri
MaiN roz o shab nigarish kosh khud apney adamm ka hooN
MaiN apna aadmi hargiz nahiN LOUH-O-QALAM ka hooN
Hai karwahat main yeh bheegay hoye lamhay ajab se kuch
Sarasir be hisabana, sarasir besabab se kuch
Sarabon ne sarabon per buhut badal hain barsaye
Sharabon ne moabir ke tamooz o ba’el nehlaye
(yaqeenan qafia hai yawah farmai ka sarchashma
“hain nehlaye”, “hain barsaye”)
Najanay aarba kion aaye, kion mustarba aaye
Mazar ke log tu chanay hi walay thay, so woh chaye
Mere jad hashim-e-aala gaye ghaza main dafnaye
Main naqay ko pilaonga, mujhe wan tak who lay jaye
Ledulilmaute wabnulkharabe sun kharabati
Woh mard-e-aus kehta hai, haqiqat hai khurafati
Yeh zalim teesra peg ik aqaneemi badayat hai
Aloohi harza farmai ka sar-e-toor-e-luknat hai
Bhala horab ki jhari ka woh ramz-e-aatsheen kia tha
Magar horab ki jhari kia, yeh kis ki kis se nisbat hai
Pay nisbat ke buhut se qafiye hain hai gila is ka
Magar tujh ko tu yara qafion ki be tarha lat hai
Guman yeh hai kay shayad behr se kharij nahi hoan main
Zara bhi haal ke aahang main harij nahi haon main
Tana tan tan, tana tan tan, tana tan tan, tana tan tan
Tana tan tan, nahi mehnat kashon ka tan, na pairahan
Na pairahan, na pori adhi roti ab raha, salan
Ye salay kuch bhi khanay ko na pain, galian khain
Hai in ki behisi main ik muqadas tar haramipan
Magar aahang mera kho gaya shayad, kahan janay
Koi mauj-e- … koi mauj-e-shumal-e-jaweda’n janay
Shumal-e-jaweda’n ke apne hi qisse thay jo guzre
Woh ho guzre, tu phir khud main ne bhi jana, woh ho guzre
Shumal-e-jaweda’n apna, shumale-jawedan-e-ja’n
Hai ab bhi apni ponji ik milal-e-jawedan-e-ja’n
Nahi maloom zaryun ab tumhari umr kia hogi
Yehi hai dil ka mazmoon, ab tumhari umr kia hogi
Hamaray darmian ab aik bejatar zamana ai
Lab-e-tashna pe ik zehr-e-haqiqat ka fasana hai
Ajab fursat mayasar aai hai “dil jan” rishte ko
Na dil ko aazmana hai na jan ko azmana hai
Kaleed-e-kasht zar-e-khwab bhi gum hogai aakhir
Kahan ab jada-e-khurram main sarsabzana jana hai
Kahon tu kia kahon, mera yeh zakhm-e-jawedana hai
Wohi dil ki haqiqat jo kabhi ja’n thee woh ab akhir
Fasana dar fasana, dar fasana, dar fasana hai
Hamara bahami rishta jo hasil tar tha rishton ka
Hamara taur-e-bezari bhi kitna walehana hai
Kisi ka naam likha hai meri sari bayazon per
Main himat kar raha haon, yani ab is ko mitana hai
Hansi aati hai ab who kis qadar nawajibana hai
Yeh ik sham-e-azab-e-besarokarana halat hai
Hoye janay ki halat main haon, bas fursat hi fursat hai
Nahi maloom tum is waqt kis maloom main hogay
Najanay kaun se mani main kis mafhoom main hogay
Main tha mafhoom, na mafhoom main gum ho chukka haon main
Main tha maloom, na maloom main gum ho chukka haon main
Nahi maloom zaryun ab tumhari umr kia hogi
Mere khud se guzarne ke zamanay se siwa hogi
Mere qamat se ab qamat tumhara kuch fuzon hoga
Mera “farad” mere deeroz se bhi khushnumo hoga
Hisab-e-mah-o-saal ab tak kabhi rakha nahi maine
Kisi bhi fasl ka ab tak maza chakha nahi maine
Main apne aap main kab reh saka, kab reh saka aakhir
Kabhi ik pal ko bhi apne liye socha nahi maine
Hisab-e-mah-o-saal-o-roz-o-shab, woh sokhta bodash
Musalsal ja’n kani k haal main rakhta bhi tou kaise
Jise yeh bhi na ho maloom woh hai bhi, tou kion kar hai
Koi halat dil-e-pamal main rakhta bhi tou kaise
Koi nisbat bhi ab tu zaat se bahir nahi meri
Koi bistar nahi mera, koi chadar nahi meri
Ba haal-e-nashta sad zakhm ha o khoon ha khordam
Ba hardam shookra’n aameekhta majoon ha khordam
Tumhain is baat se matlab hi kia aur akhrish kion ho
Kisi bhi nahi mujh ko gila, aur akhrish kion ho
Jo hai ik nang-e-hasti is ko tum kia jaan bhi lo gay?
AGAR TUM DEKH LO MUJH KO, TOU KIA PEHCHAN BHI LOGAY?
Tumhain mujh se jo nafrat hai, wohi tu meri rahat hai
Meri jo bhi azeeyat hai, wohi tu meri lazzat hai
K aakhir is jaha’n ka ik nizam-e-kar hai aakhir
Jaza ka aur saza ka koi tu hanjaar hai aakhir
Main khud main jhainkta haon aur seenay main bharakta haon
Hay meri zindagi ab roz-o-shab uk majlis-e-gham ha
Aza ha, marsia ha, girya ha, aashob-e-matam ha
Tumhari tarbiyat main mera hisa kam raha, kam tar
Zuban meri tumhari wastay shayad k mushkil ho
Zuban, apni zuban main tum ko aakhir kab sikha paya
Azab-e-sad shamatat aakhrish mujh per hi nazil ho
Zubaan ka kaam yun bhi baat samjhana nahi hota
Samajh main koi bhi matlab kabhi aana nahi hota
Kabhi khud tak bhi matlab koi pohanchana nahi hota
Gumanon ke guman ki dam ba dam aashob kari hai
Bhala kia aitbari aur kia na aitbari hai
Guman yeh hai, bhala main juz guman kia tha gumanon main
Sukhan hi kia fasanon ka, dhara kia hai fasanon main
Mera kia tazkira aur waqai kia tazkira mera
Main ik afsoos haon, afsoos tha guzray zamanon main
Hai shayad dil mera be zakhm aur lab per nahi chalay
Mere seenay main kab sau zindatar daghon ke hain chalay
Magar dozakh pighal jaye jo mera sans apna le
Tum apni mom ke behad muradi manaton walay
Mere kuch bhi nahi kuch bhi nahi kuch bhi nahi balay
Magar pehlay kabhi tum se mera kuch silsila tut ha
Guman main mere shayad ik koi ghuncha khila tout ha
Woh meri jawedana be doi ka ik sila tou tha
So us ko aik “abu” naam ka ghora mila tou tha
Saya-e-daman-e-rehmat chahiye thora mujhe
Main na choron ya nabi, tum ne agar chora mujhe
Eid ke din Mustafa se yun lagay kehnay hussain
Sabz jora do hasan ko surkh do jora mujhe
Adab adab kuttay tere kaan katon
Zaryun ke biyan ke naan baton
Taron bharay jagar jagar khwan baton
“aa ja ri nindia tu aa kion na ja
Zaryun ko aa ke sula kion na ja”
Tumharay biyah main shajrah parha jana tha nosha wasti dolha
“choki angan main bichi wasti dolha k liye”
“Makay madinay k pak musalay, payambar ghar nawasay
Shah-e-mardan, ameer ul momineen hazrat ali k potay
Hazrat imam hasan hazrat imam hussain k potay
Hazrat Imam Ali Naqi k potay
Syed Jaffar-e-sani k potay
Syed Abul Farah Saidwai al wasti k potay
Meera’n Syed Ali Buzurg k potay
Syed Hussain Sharfuddin Shahwilayat k potay
Qazi Syed Ameer Ali k potay
Dewan Syed Hamid k potay
Allama Syed Shafiq Hasan Elia k potay
Syed Jaun Elia Hasani al Hussaini Supoot Jah!”
Magar nazir hamara sokhta sulb akhri nassab ab marne hi wala hai
Bas ik pal haf sadi ka faisla karne hi wala hai
Suno zaryun, bas tum hi suno, yani faqat tum hi
Wohi rahat main hai jo aam se honay ko apna le
Kabhi koi bhi per ho koi behman yaar ya zeeno
Tumhain behka na paye, aur bairooni na kardalay
Main sari zindagi ke dukh bhugat kar tum se kehta haon
Buhut dukh de gi tum main fikr aur fan ki namo mujh ko
Hai tum ko aam shehri dekhne ki arzo mujh ko
Tumharay wastay be had sahoolat chahta haon main
Dawam-e-jehl-o-haal-e-isterahat chahta haon main
Na dekho kash tum woh khwab, jo dekha kia haon main
Woh saray khwab thay qassab jo dekha kia haon main
Kharash-e-dil se tum be rishta be maqdoor hi thero
Mere hajeemeem-e-zaat-e-zaat se tum door hi tehro
Koi zaryun, koi bhi clerk aur koi karinda
Koi bhi bank ka afsar, senator, koi pawinda
Har ik haiwan-e-sarkari ko tattoo janta haon main
Tou zahir hai, usay shay se ziada manta haon main
Tumhain ho subh dam taufeeq bas akhbar karne ke
Tumhain aye kash! Bemari na ho, dewar parhne ki
Ajab ahi Sartre aur Russel bhi akhbar parhtay thay
Woh maloomat k maidan k shauqeen borhay thay
Nahi maloom mujh ko aam shehri kaise hotay hain
Woh kaise apna banjar naam banjar pan main botay hain
Main ur se aaj tak ik aam shehri ho nahi paya
Isi bais main hoan anboh ki lazzat se be maya
Magar tum ik do paya rast qamat ho k dikhlana
Suno raye dehanda bin hoye tum baaz mat aana
Faqat zaryun ho tum yani apna sabiqa choro
Faqat zaryun ho tum yani apna laheqa choro
Magar main kaun jo chahon tumhary baab main kuch bhi
Bhala kion ho mere ehsaas ke asbaab main kuch bhi
Tumhara baap yani main, abas main, ik abas tar main?
Magar main yani janay kaun? Acha main, sarasir main !
Main ik kasid haon, kazib haon, main kayiyaad-o-kamina haon
Main kasa baaz o keena saaz – kaasa tan haon, kutta haon
Main ik nangeen-e-bodish haon pa tum tou sir mana’am ho
Tumhara baap roh ul quds tha? Tum ibne mariam ho
Yeh qulqul teesra peg, ab tu chotha ho, guma’n yeh hai
Guma’n ka mujh se koi khas rishta ho, guma’n yeh hai
Guma’n yeh hai kay main jo jar aha tha, aa raha haon main
Magar main aa raha kab haon, piya pay jar aha haon main
Yeh chotha peg hai, oon hon, zalalat ki gai mujh se
Zalalat ki gai mujh se, khayanat ki gai mujh se
Jazami hogai wazzah ki mehboob, wa waila *******
Magar is ka gila kia jab nahi aaya koi aaila
Main yak sar raigani haon, hisab-e-raigani kia
Buhut kuch tha kabhi shayad, per ab kuch bhi nahi hoan main
Na apna hum nafas haon main na apna hum nasheen haon main
Kabhi ki baat hai faryad mera who kabhi yani
Nahi is ka koi matlab nahi is k koi mani
Main apne shehar ka sab se girami naam larka tha
Main be hangaam larka tha, main sad hangaam larka tha
Mere dam se ghazab hangama rehta tha mahallon main
Main hashar aaghaz larka tha, main hashar anjaam larka tha
Mere hindo musalmaa’n sab mujhe sir per bithatay thay
Inhi ke faiz se mani mujhe mani sikhatay thay
Sukhan behta chala aata hai be bais ke honton se
Who kuch kehta chala aata hai be bais ke honton se
Main ashraf-e-kamina kaar ko thokar pe rakhta tha
So main mehnat kashon ki joteeyan minbar pe rakhta tha
Main shayad ab nahi haon woh, magar ab bhi wohi haon main
Ghazab hangama parwar kheera sir ab bhi wohi haon main
Magar mera tha ik taur aur bhi jo aur hi kuch tha
Magar mera tha ik daur aur bhi jo aur hi kuch tha
Main apne shehar-e-ilm-o-fun ka tha ik naujawan kahin
Mere talmeez-e-ilm o fun mere baba ke thay hum sin
Mera baba mujhe khamosh aawazain sonata tha
Who apne aap main gum mujh ko pur haali sikhata tha
Woh heeyat daan who aalim naaf-e-shab main chat pe jata tha
Rasad ka rishta sayyaron se rakhta tha, nibhata tha
Isay khwahish thi shohrat kin a koi hirs-e-daulat thi
Baray se Qatar ki ik doorbeen us ki zaroorat thi
Meri ma ki tamanaaon ka katil tha woh qallama
Meri ma, meri mehbooba, qayamat ki haseena thi
Sitam yeh hai, yeh kehnay se jhijhakta tha who fahamma
Tha behad ishteal angaiz badqismat who allama
Khalaf us ki hazaf aur be nehayat na khalaf nikle
Hum us ke saray baitay intehai besharaf nikle
Main us aalim tareen-e-dehr ki fikrat ka munkir tha
Main so fastai tha jahil tha aur mantaq ka mahir tha
Per ab meri yeh shohrat hai kay main bas IK SHARABI haon
Main apne doodman-e-ilm ki khana kharabi haon
Sagan-e-khookzad-e-barzan-o-baazar-e-bemaghazi
Meri janib ab apne thobray shahana kartay hain
Zinazaday meri izzat bhi ghustakhana kartay hain
Kaminay sharm bhi ab mujh se besharmana kartay hain
Mujhe is sham hai apne labon per ik sukhan lana
Ali Darwaish hai, tum us ko apna jad na batlana
Woh sibtan-e-mohammad jin ko janay kion, buhut arfa’a
Buhut arfa’a buhut aala samajhwaya gaya ab tak
Tum un ki door si nisbat se bhi yaksar mukar jana
Kay is nisbat se zehr-e-zakhm ko sehna zaroori hai
Ajab ghairat se galteeda bukhon rehna zaroori hai
Woh shajra jo kanana, fehr, ghalib, ka’ab, marrah se
Qassi o hashim o sheeba abu talib tak aata hai
Who ik andoh tha tareekh ka, andoh-e-sozinda
Woh Naamon ka darakht-e-zard tha aur is ki shakhon ko
Kisi tanoor ki heezam ka khakistar hi banna tha
Isi shoal zada bodish ka ik bistar hi banna tha
Hamara fakhr tha fuqr aur Danish apni ponji thi
Nasab namon ke humne kitne hi parcham lapaitay hain
Mere hum shehar, zaryun, ik fusoo’n hai nasl hum dono
Faqat aadam ke baitay hain, faqat aadam ke baitay hain
Main jab ausaan apne khonay lagta haon tu hansta haon
Main tum ko yaad kar k ronay lagta haon tou hansta haon
Hamesha main khuda hafiz, hamesha main khuda hafiz
Khuda hafiz
Khuda hafiz
Awesome work...
ReplyDeleteAs i know Jon Chacha very closely, i can easily say that i never met such a learned person ever in my life. He wrote this poem just almost a month before his death. Zariyon is his son and he is exactly of my age. I know how much Jon Chacha used to love and miss him but he never came to meet this great man who was his father. I salute you Jon Chacha and we all will always miss you. May Allah give you peace to your soul. Ameen.
ReplyDeletetoo good ... such a learned man he was... mohammad u are lucky to have him... u would have learnt a lot from him ... i wish i could have met him ever n learn from him...
ReplyDeletehow old zaryon is??
and why didn't he come to see his father??
iskadar sakht aur talkh sach likh kar ,is mard e sukhan ney apni zaat ko ammar kar diya hai ,mery nazdeek us ki aulad key liye bayis sad iftikhar hona tha aisey insan shaaz shaz hi paida hotey hain herat yeah hai key is azeem insaan ko unki apni aulad pazeerai na dey saki .mery khail main KHALID ANSARI
ReplyDeletesahib jannat key waris tehrey aik Aulia ki pehchan kar lee .
بہت ہی زبردست شاعر تھے جناب jaunelia.com آپ کی کاوش قابل تعریف ہے
ReplyDeletePlease help me
ReplyDelete