Showing posts with label poetry. Show all posts
Showing posts with label poetry. Show all posts

Monday, July 18, 2011

mehak utha hay aangan by Jaun Elia

mehak utha hai aangan is khabar se


mehak utha hai angan is khabar se
wo khushboo laut ayee hay safar se

judai ne usay dekha sar-e-bam
dareeche par shafaq ke rang barse

main is deewar per charh to gaya tha
utaray kaun ab deewar par se

gila hay ek gali se shehr-e-dil kee
main larta phir raha hoon shehr bhar se

usay dekhe zamane bhar ka ye chand
hamari chandni saye to tarse

mairay manand guzra kar meri jaan
kabhi tu khud bhee apni rahguzar se

shair by Jaun Elia

phir kahan baqi rahay hosh-o-hawas
wo ghani palkain jo bojhal ho chaleen
khainchnee thee apni tasweer-e-junoon
baithey baithey uss kee zulfain khainch leen